Home Hindi Yasser Desai, Neeti Mohan – Iss Baarish Mein Lyrics

Yasser Desai, Neeti Mohan – Iss Baarish Mein Lyrics

by admin

Saawan ki ik bhooli bisri kahani

Wo pal wo lamhe aur aankhon ka paani

Badal ke shoro mein baarish ki aahat

Bheege labon ki woh kanpkanpahat

Un lamho ko fir jeene ki fariyaad kar raha hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Un lamho ko fir jeene ki fariyaad kar rahi hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon

Mann ko bhigoti alhad ye boondein

Ehsaas mein tere aankhon ko moondein

Main bheegta hu chhupane ko aansu

Dikh jaayein na ye zamaane ko aansu

Teri baaton se apne dil ko aabaad kar raha hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Khushbu liye aayi geeli hawayein

Kaano mein kisse tere gungunayein

Mera haath thaame mujhe takte rahna

Meri fikra mein raat bhar jagte rahna

Dekho zara ye ithlaate baadal

Kuchh iss kadar the hum dono pagal

Mujhe dil ki baatein batana hai tumko

Baarish mein kass ke bhigaana hai tumko

Un lamho ko fir jeene ki fariyaad kar rahi hoon

Iss baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon

Iss baarish mein main bas tumko yaad kar rahi hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Is baarish mein main bas tumko yaad kar raha hoon

Song: Iss Baarish Mein
Singer: Yasser Desai, Neeti Mohan
Lyricist: Sharad Tripathi
Music: Ripul Sharma

Director: Aditya Vinay Datt

Cast: Shaheer Shaikh, Jasmin Bhasin
Director Of Photography: Manoj Soni

Related Articles

Leave a Comment

Adblock Detected

Please support us by disabling your AdBlocker extension from your browsers for our website.