Yeh tera husn bhi kya fitoor hai sirf
Soorat nahin tujh mein noor hai dastoor hai
Dastoor hai, chaaho jise woh milta nahin, majboor hai
Majboor hai
Fitrat bhi apni badalta nahin, ishq gehra sahi
Laakh pehra sahi, ishq gehra sahi, laakh pehra sahi
Tum mere naam ka kajal bhar do
Andhera hai kitna mujh mein, ujala sa bhar do
Andhera hai kitna mujh mein, ujala sa bhar do
Ujala sa bhar do
Lahza tera, baatein teri dil mein basi hai
Khushboo teri, tu hai toh duniya mehboob hai
Chahat hai ya hai saazish teri
Lahza tera, baatein teri dil mein basi hai
Khushboo teri
Tu hai toh duniya mehboob hai
Chahat hai ya hai saazish teri
Ishq gehra sahi, laakh pehra sahi
Ishq gehra sahi, laakh pehra sahi
Main tere naam ka kajal bhar loo
Meri saari raatein le lo
Mere din bhi rakh lo
Andhera hai kitna mujh mein, ujala sa bhar do
Andhera hai kitna mujh mein, ujala sa bhar do
Sab kar lena lamhe zaya mat karna
Galat jagah par jazbe zaya mat karna
Jinki aankhein pyaari, baatein jhoothi ho
Unki khaatir sapne zaya mat karna
Saada hoon, brands pasand nahin mujhko
Mujh par apne paise zaya mat karna
Ishq toh niyyat ki sachchai dekhta hai
Dil na jhuke toh sajde zaya mat karna
Yaad ka darwaza band na karna
Ae dost mere, khat aur taffe zaya mat karna
Jin logon ko khaamoshi ki kadar na ho
Un logon par lahze zaya mat karna
Meri saari raatein le lo
Mere din bhi rakh lo
Andhera hai kitna mujh mein, ujala sa bhar do
Andhera hai kitna mujh mein, ujala sa bhar do
Andhera hai kitna mujh mein…
Song: Fitrat
Artists: Kaifi Khalil & Tulsi Kumar
Lyrics: Kaifi Khalil
Music: Kaifi Khalil
Cast: Sehar Khan and Rifan Hasanli